160+ Best Zindagi Shayari in English
Zindagi Shayari in English verse highlights different components of ordinary life. It now and then transmits overpowering feelings, concepts and private stories with respect to numerous diverse sorts of subjects, such as love sadness, fulfillment, hardships, and accomplishments. Pitiful Zindagi Shayari in English is a lovely and piercing way for individuals to verbalize their conclusions and mull over on the travel of life, with each of its crests and valleys. Through a visual eyepiece, these Best Zindagi Shayari in English uncover a see into the nuances and wonders of life. They can be rousing, elevating, or legitimate. If you need Husn Verse at that point tap here.
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itne Qareeb Se,
Chehre Tamam Lagne Lage Hain Ajeeb Se.
Kya Likhun Hakeekat-E-Dil Aarzoo Behos Hai,
Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.
Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin,
Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon.
Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe Bithaye Rakhna,
Zindagi Nagavaar Sahi Dil Se Lagaye Rakhna.
Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,
Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,
Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain
Jeene Ka Hausla Kabhi Marne Ki Aarzoo,
Din Yoon Hi Dhoop-Chhaaon Mein Apne Bhi Kat Gaye.
Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.
Sar-e-Aam Mujhe Ye Shikayat Hai Zindagi Se,
Kyun Milta Nahi Mijaaz Mera Kisi Se.
Zindagi Uss Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.
Kitna Mushkil Hai Zindagi Ka Yeh Safar,
Khuda Ne Marna Haraam Kiya Logon Ne Jeena.
Jugnuon Ki Roshni Se Teergi HatTi Nahi,
Aayine Ki Saadgi Se Jhoothh Ki Patti Nahi,
Zindagi Mein Gham Nahi Fir Ismein Kya Mazaa,
Sirf Khushion Ke Sahare Zindagi KatTi Nai.
Aaram Se Tanha Kat Rahi Thi To Achchhi Thi,
Zindagi Tu Kahan Dil Ki Baaton Mein Aa Gayi.
Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.
Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.
Jaane Kab Aake Dabe Paanv Gujar Jaati Hai,
Meri Har Saans Mera Jism Purana Kar Ke.
Bakhsha Hai Thhokaron Ne Sambhalne Ka Hausla,
Har Haadsa Khayal Ko Gahraayi De Gaya.
Roj Dil Mein Hasraton Ko Jalta DekhKar,
Thak Chuka Hoon Zindagi Ka Ye Ravaiya DekhKar.
Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hoon,
Yeh Kya Kam Hai Apni Pahchaan Bacha Paya Hoon,
Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,
Jeene Ka Main Itna Hi Saman Bacha Paya Hoon.
Had-e-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali,
Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali,
Safar Jo Dhoop Ka Kiya To Tazurba Hua,
Wo Zindagi Hi Kya Jo Chhaon-Chhaon Chali.
Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.
Fursat Mile Jab Bhi To Ranjishen Bhula Dena,
Kaun Jaane Saanso Ki Mohlatein Kahan Tak Hain.
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se,
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ab To Ajeeb Se.
Nahi Mangta Ai Khuda Ke Zindagi Sau Saal Ki De,
De Bhale Chand Lamhon Ki Lekin Kamaal Ki De.
Sabak Wo Humko Parhaye Hain Zindagi Ne Ke Hum,
Hua Tha Jo ilm Kitaabon Se Wo Bhi Bhool Gaye.
Jahan-Jahan Koi Thhokar Hai Meri Kismat Mein,
Wahin-Wahin Liye Firti Hai Meri Zindagi Mujhko.
Deep Zindagi Shayari in English
Mere dil ki yeh dua hai Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena Woh din kabhi na aaye
Yaara teri yaari ko Maine to khuda mana
Yaad karegi duniya Tera mera afsana
er kasz
aankho me aasu
hoto pe muskaan
wah re wah zindgi
yehi hai teri pahchan
Khuda Kare Zindagi Mein Yeh Makaam Aaye;
Tujhe Bhulne Ki Dua Karun Aur Dua Mein Tera Naam Aaye
Manzil unhi ko milti hai Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota Hauslon se udaan hoti hai
Kash meri ZINDGI ka aanth Kuch is kadar ho
Ki meri kabr pe unka ghar ho
Vo jab jab soye jameen par
Mere sine se laga unka sar ho
Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai;
Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai;
Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya;
Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai
IshQ to humne kiya hi nahi tha
Loggo ne keh keh kar humme AshiQ bna diya
Har Waqt Milti Rahti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdeer Se Mera Qasoor Kya Hai
YAAD karne se kisi ka didar nahi hota
Yu hi kisi ko yaad karna pyar nahi hota
Yaado me kisi ke hum hi tadapte hai
Bas usse humare DARD ka ehsas nahi hota
Has Kar Jeena Dastoor Hai Zindagi Ka
Ek Yehi Kissa Mashhoor Hai Zindagi Ka
Beete Huye Pal Kabhi Laut K Nahi Aate
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka
Naraz Hona Aapse Galti Kehlayegi;
Aapki Ruswaie Se Saanse Tham Jayengi;
Haste Rehna Hamesha;
Aapki Hasi Se Hamari Zindagi Savar Jayegi
Zindagi Ko Samajhna Hai To Mujhe Dekho;
Keh Gaya Pani Ka Bulbula Jaate Jaate
Khushiyon Se Naraaz Hai Meri Zindagi;
Pyaar Ki Mohtaaz Hai Meri Zindagi;
Hans Leta Hun Logon Ko Dikhane Ke Liye;
Warna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi
Zindagi itni takleef deti hain
Dil me phir b umeed bani rehti hai
Dil kehta hai ki kuch nahi hoga
Par kuch toh hoga ye umeed kehti hai
Maut Milti Hai Na Zindgi Milti Hai
Zindagi Ki Raaho Mein Bebasi Milti Hai
Rula Dete Hain Kyu Mere Apne
Jab Bhi Mujhe Koi Khushi Milti Hai
kaanto ne humara daman na choda
zindgi ek saaja bani jisne kahi ka na choda
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein Mohsin ;
Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho
Zindagi Me Kabhi Pyar Mat Karna
Ho Jaye To Inkar Mat Karna
Nibha Sako To Isme Kadam Rakhna
Varna Kisi Ki Zindgi Barbad Mat Karnaa
Sad Zindagi Shayari in English
Apni Zindagi Sy Hum Is Qadar Tang Haiy
Apni Zindagi Sy Hum Is Qadar Tang Haiy
Jasay K Apny Dil K Sath He Meri Jang Hai
Udas Sa Ryta Hon Me Aj Ke Is Duniyna Me
Jasay K Duniya He Muj Sy Tang Hi
Akyla Betana Mujay Acha Ni Lagta
Par Koi Hi He Ni Jo Meray Sang Hi
Rona Ata Hi Mujay Apni Zindagi Par
Mera Muskarana Be Kisi Ko Ni Pasand Hi
Ay Duniya Ketani Rangin Hi
Par Meri Zindagi K Sabi Rang Be Rang Haiy
Yadon Ke Chaon Me Rayta Hon Me Har Pal
Hoti Ryti Hi Dil Me Ajeeb Se Hal Chal
Bhoolna Chata Hon Me Har Yad Us Ke
Par Us Ka Aks Ryta Hi Ankhon K Agay Har Pal
Meri Zindagi
Kuch Is Trha Se Ghmo Ne Ghera Meri Zindagi Ko Dala
K Chekh-O-Pukar Krny Se B Qasir Hy Meri Zindagi
Hm Sath Thy Tmhary To Zindagi Ko Haseen Janty Thy
Juda Hoy Tm To Ab Be Yaqeeni He Meri Zindagi
Khuda Gero Ko B Ashna Na Kry Ishq Se
Ye Wo Drd He Js Ne Ujari He Meri Zindagi
Tm He Tm Thy Meri Shamo Aur Saher K Peechy
Tm He To Thy Js Ne Swari Thi Meri Zindagi
Dua Yehi He Khuda Se ‘Saim’ Ki Ab
K Apni Intha Ko Pohnch Jay Meri Zindagi
Zindagi Kya Hai!
Samandar Ke Lehroo.N Ki Tarah Badalti Jati Hai
Kabhi Khushi To Kabhi Gham Mei.N Sambhalti Jati Hai
Zindagi Hai Ek Kashthi Aur Hum Uske Musafir
Jo Mom Ki Tarah Pighalti Jati Hai
Zindagi Ek Kahaani Hai Jis Ke Hum Kirdaar
Jo Har Lamhe Ko Likhthi Jati Hai
Zindagi Ki Kitab
Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hay
Ye Kitab Bhi Kia Kitab Hay
Kahin Aik Haseen Sa Khawab Hay
Kahin Jan Leva Azab Hay
Kabhi Kho Liya Kabhi Pa Liya
Kabhi Ro Liya Kabhi Gaa Liya
Kabhi Rehmatoon Ki Hay Barishay
Kabhi Tishnagi Be Hisab Hay
Kahin Chaon Hai Kahin Dhoop Hai
Kahin Aur He Koi Roop Hay
Kahin Cheen Leete Hay Har Khushi
Kahin Meharban Be Hisab Hay
Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hay
Ye Kitab Bhee Kia Kitab Hay